Indian Army Clerk Sample Paper And Previous Year Paper PDF 2019

Hello Friends, Agar aap Indian army clerk question, sample and previous year paper pdf 2019 online dhund rahe hai to is post me aapko Indian army clerk question paper 2019 pdf provide karne wala hu jo aapko indian army clerk online test ko qualify karne me kafi help karega.

indian army clerk quesrion paper

Indian army pure word me 4th sabse badi army hai or har saal isme hazaro candidate alag alag department me join hone ke liye apply karte hai wese to indian army me kafi departments or trade hai unmese indian army clerk sabse famous hai.

Har saal indian army clerk trade ke liye bhut sari recruitment nikalti hai or pure india ke shabi jgh se candidates iske liye apply karte hai but aapko pata hai ek research se pata chala hai ki 100 candidate mese only 5 candidate hi indian army clerk final merit list me hi hote hai.

Iska sabse bada main reason hai aaj ka competition or aapki final exam ki teyari ka sahi dhang se na hona yadi aap army clerk sample papers and previous year paper dhund rahe hoto is post ke last me aapko papers ka link mil jayega aap waha se downlaod kar sakte hai yeh model papers aapko pdf format me milege.

Contents

Army Clerk Sample Paper And Previous Year Papers

Agar aap army clerk ki teyari kar rahe hai to sample paper and previous papers ki practice karna bhut important hai kyoki is se aapko paper ka idea mil jayega ki clerk written exam me kis parkar ka paper aata hai.

Aasha karta hu ki aapko army clerk sample papers ki importantance samaj me aa gayi hogi ab aapko sample papers ki practice karne se pehle iske pattern ke bare me pata hona jaroori hai ki army clerk ka written exam kis pattern mai aata hai.

Soldier clerk exam ko 2 parts me devide kiya gya hai.

First part me aapko objective type question puche jate hai jisme general science, maths or CS ( computer science ) ke questions hote hai jaha general science se 40 marks ke question hote hai or maths or CS se 60 marks ke hote hai.

Second parts me Subjective type question hote hai is exam me candidate ki skill dekhi jati hai jisme 100 marks ka english language ka paper hota hai.

Indian Army Clerk Written Ki Teyari Kaise Kare

Army clerk ki teyari karna aasan baat nahi hai kyoki aapko apni teyari mai bhut time dena hota hai tabhi aap army clerk ka exam clear kar sakte ho bina mehnat ke kuch bhi nahi milne wala islye aapko mai niche kuch points share kar raha hu jis se aap apni indian army clerk written ki teyari sahi dhang se kar sakte hai.

1: English Par Jyada Focus Kare

Indian Army Clerk ke liye english sabse important subject hai kyoki english se 25 marks ke question puche jate hai islye aapki engliah ka strong hona bhut jaroori hai. English Practice ke liye aap English Newspaper, Books, Songs, Movies etc dekh sakte ho or kisi achhe institute se coaching bhi le sakte ho.

Yeh Bhi Padiye…

2: Good Skill On Maths

English ke baad second subject maths mai bhi aapko command rakhni hogi maths se 40 marks ke question puche jate hai jo ki aapke clerk written test ko qualify karne me kafi important hai. Bina practice ke aap maths problem ko solve nahi kar sakte ho islye maths ki practice karte rahe.

3: Hmesa Regular Rahe

Agar aap apni study ke prati regular nahi hai to aap kabhi bhi written clear nahi kar sakta ho apna ek time table bana lijiye or us hisab se apni stude kijiye ek din me 2-3h kafi hota hai study ke liye.

4: Focus Bana Ke Rakhiye

Apne man ko khi dusri or bhatakne na de apne goal par focus karke rakhe aapko kya karna hai use hamesa apne dimag me rakhiye agar aap apne goal par focus kar ke teyari nahi karte hai to aapko kuch bhi nahi mil sakta islye jab tak aap apne goal ko prapt na kar le apna focus barkarar rakhe.

5: Revision Karte Rahe

Kisi chiz ko yaad rakhne ke liye revision sabse important hai agar aap lagatar revision karte hai to aapka dimag us chiz ko capture kar leta hai uski ek image bana leta hai jise aap apni puri life me nahi bhul sakte islye revision karna bhut important hai.

To dosto ab aapko in points ko yaad rakhna hai or ise apni study me use karna hai agar aap in points ko hamesa follow karte hai to aapko success hone se koi nahi rok sakta. Ab niche me aapko sample question paper ki pdf provide kar raha hu jise aap yaha se download kar sakte hai.

Indian Army Clerk Sample Paper And Previous Year Paper PDF 2019 Download : Army Clerk Sample Paper

Aasha karta hu ki aapko yeh artice pasand aaya hoga agar aapko indian army clerk se related kuch bhi puchna hai to hame comments kar ke jaroor btaye or aapko aapke written exam ke liye All The Best.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

Helptak.com © 2019 Contact Us Frontier Theme