Indian Army Question Paper in Hindi – Sample Paper – Model Test Paper – Pervious Year Paper

Indian Army Question Paper in Hindi – Sample Paper – Model Test Paper – Pervious Year Paper

Indian army General Duty (GD), soldier technical, nursing assistant, tradesman, havaldar & indian army SKT/clerk written exam important question answer or previous year paper ki pdf download karne ke liye aapka hamari site helptak me swagat hai, yaha me aapko indian army written exam question paper, sample Paper, model Test paper, pervious year paper provide karne wala hu jo aapko army gd paper, indian army clerk paper ko qualify karane me help karega.

Indian army written questions paper pdf download
Indian army sample paper

Army question model paper ke alawa aaj hum is post me indian army gd, clerk, tradesman syllabus ke bare me bhi btayege jo aapko indian army test pattern ko samjne or army paper ko qualify karne me help karega.


Bhut se candidates online army question papers ki pdf ke liye internet par search karte rehte hai jese
indian army sample papers 2019, previous year question paper, indian army latest model paper 2019, indian army soldier technical model paper etc.

Army Sample Paper Pdf Download For written Exam

Army ke sample papers ko pdf format me download karne ke liye niche diye gaye links par clicks kare, in sample papers ko download karne ke baad aap inki practice jaroor kare agar aap in army sample model paper ki practice karte hai to aapko army exam me kafi help milegi or aap apna indian army examr ko qualify kar doge.


 Indian Army Soldier GD Sample Papers
Soldier General Duty 

 Indian Army Technical Sample Papers
Soldier Technical

✦ Indian Army Tradesman Sample Papers
Soldier Tradesman

✦ Indian Clerk Sample Papers
Soldier Clerk

✦ Indian army Nursing Assistant Sample Papers
Soldier Nursing Assistant

✦ Indian Army Havildar Sample Papers
Havildar Sample Paper

Joinindianarmy.nic.in ( Official Site ) se question paper download kese kare

Agar aap army question paper ko indian army ki official site se download karna chahte hai to niche diye gye steps ko follow kare.

1: Sabse pehle aapko indian army ki official site par visit karna hoga.
joinindianarmy.nic.in

2: Agar aap directly official site par model paper page me jana chahte hai to niche diye link par click kare.

3: Ab aap is page se sabhi question paper ko official site se download kar sakte hai or aap previous year question paper ko bhi check kar sakte hai.


Agar aap indian army ke written exam ko qualify karna chahte hai to aapko in question papers ko jaroor download karna chahiye kyoki yeh official indian army ke site par hai jo army ke previous question paper hai inse aapki practice bhi ho jayegi or aapko army written exam ka idea bhi mil jayega.

Indian Army Paper Pattern, Format

Agar aapko indian army ke paper pattern, format or syllabus ke bare me kuch pata nahi hai to hum aapko niche post me indian army ke sabhi trade ka paper pattern bata rahe hai aap use pad ke apni indian army written ki teyari kar sakte hai.

Soldier GD

GD ke exam pattern me aapko multiple choice question puche jate hai jisme aapko question ke char answer diye hote hai aapko un charo mese ek sahi ans choose karna hota hai. Pura question paper 100 numbers ka hota hai jisme se aapko 33 number paas hone ke lani hi hogi or exam ko pura karne ke liye aapke paas 1h hota hai.

✦ 150 Abbreviations ( Full Forms ) List We Used In Our Daily Life

GD paper me aapko general knowledge, general science or maths ke question puche jate hai jisme aapko 30% Gk ke, 30% math ke or baki 40% general science ke hote hai or yeh sabhi questions 10th
based ke hote hai.

Agar aapke paas NCC ( National Cadet Corps ) ‘C’ Certificate hai to aapko indian army written exam dene ki jaroorat nahi hoti hai aapko bas army physical and medical test qualify karna hota hai.

Army written test me negative marking bhi hoti hai islye apna written dete time aware rahe sahi se apna question paper kare.

Soldier Technical

Soldier technical ka written sodier gd ke written se different hota hai isme aapko 200 question diye jate hai jisme se aapko kam se kam 80 number paas hone ke lani padti hai.

Technical paper me aapko GK, Maths, Physics or Chemistry ke question puche jate hai jo 12th base ke hote hai army soldier exam me technical exam sabse jyada tough hota hai.

Soldier Tradesman

Soldier tradesman ka question paper soldier GD ke question paper ke hi tarh hota hai isme bhi aapko 100 question puche jate hai jisme se aapko paas hone ke liye 32 number lani padti hai or iski timing bhi 1h hoti hai isme aapko GK, Maths or Science ke question diye jate hai.

Soldier tradesman me bs itna difference hai ki isme aapko gd question paper se aasan question puche jate hai jo 8th or 10th base ke hote hai or tradesman paper me negative marking nahi hoti hai.

Soldier Clerk 

Soldier clerk exam ko 2 parts me devide kiya gya hai.

First part me aapko objective type question puche jate hai jisme general science, maths or CS ( computer science ) ke questions hote hai jaha general science se 40 marks ke question hote hai or maths or cs se 60 marks ke hote hai.

✦  Basic Full Form in Computer – Computer Related Full Forms

✦  Computer Fundamental Notes in Hindi PDF Download

✦ Tense Chart In Hindi With Example And PDF

Second parts me Subjective type question hote hai is exam me candidate ki skill dekhi jati hai jisme 100 marks ka english language ka paper hota hai.

Soldier Nursing Assistant

Soldier nursing assistant ke liye aapko intermediate me science stream se paas hona jaroori hai or aapke subject physics, chemistry, biology or english ka hona bhi bhut jaroori hai or aapki 50% overall honi chahiye and 40% har subject me aapki number ka hona bhi jaroori hain agar aap graduate label par nursing assistant ka exam dete hai to yaha aapke subject botony / Zoology / Bio-Science honi chahiye or is label par aapki percentage nahi dekhi jati hai.

Eligibility ceiteria for Army soldier

Soldier GD

Candidate Education: Agar aap indian army gd me bharti hona chahte hai to aapko kam se kam 10th paas 45% ke sath hona jaroori hai and 12th paas se agar aap apply karte hai to yha percentage nahi mangi jati hai aapka bas 12th paas hona jaroori hai.

Age Limit: GD ke liye aapki age 17½ se lekar 21 saal tak
honi chaiye agr aap 17½ se chote or 21 saal se bade hoto aap army soldier gd mai apply nahi kar sakte hai.

Soldier Technical

Candidate Education: Soldier technical me bharti hone ke liye candidate ka science stream se 12th paas hona jaroori or candidate ke subject physics, chemistry, maths or english hone chahiye kam se kam 50% passing marks ke sath or har subject me 40% marks ka hona jaroori hai.

Age Limit: Soldier technical ke liye Candidate ki age 17½ se lekar 23 saal tak honi chaiye agr aap 17½ se chote or 23 saal se bade hoto aap army soldierSoldier technical mai apply nahi kar sakte hai.

Soldier Clerk

Candidate Education: Soldier clerk me bharti hone ke liye candidate ka kisi bhi stream se 12th paas hona jaroori or candidate ke main subject jese english, maths honi hi chahiye kam se kam 50% passing marks ke sath or har subject me 40% marks ka hona jaroori hai.

Age Limit: Same as above.

Soldier Tradesman

Education Qualification: soldier tradesman ke liye candidate ka 10th paased hona jaroori hai agar aapne kisi insititute se Iti kiya hai to aap tradesman me apply kar sakte hai.

Age Limit: 17½- 23 Yrs.

  Uttarakhand Garhwal Open Army Bharti 2018-2019 Dehradun Date, Admit Card

To dosto kesi lagi aapko hamari yeh post Indian Army Question Paper in Hindi – Sample Paper – Model Test Paper – Pervious Year agar aapko army question paper pattern format or syllabus ke bare me kuch bhi doubt ho to hmse puch sakte hai aap indian army ki eligibility criteria ko dekh kar apni teyariya kar sakte hai.

 त्रिभुज किसे कहते है ? त्रिभुज के प्रकार, विशेषताएं, क्षेत्रफल और परिमाप

Hindi Vyakaran Book PDF Downlaod  Hindi Grammer 

✦ Area of Rectangle – Aayat Ka Chetrafal Formula

Candidate Search Terms:

✱ army syllabus
✱ army question paper 2019
✱ army written exam 2018
✱ indian army clerk queation paper
✱ gd clerk army paper
✱ indianarmy syllabus 2019 exam
✱ army previous year paper 2018
✱ army model sample paper 2019

Agar aapka abhi bhi kuch bhi doubt hai to hame comments kar ke puch sakte hai hum aapki help ke liye hamesa aapke sath hai.


Updated: September 24, 2018 — 7:28 pm

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

Helptak.com © 2019 Contact Us Frontier Theme