LTE Or VOLTE Kya Hai?


LTE Or VOLTE Kya Hai?

lte or volte kya hai

Hello Dosto, aaj mai aapko btauga ki Volte and LTE kya hai in dono mai kya difference hai. Volte or LTE hota kya  hai inki fullform kya hai.

Aaj har kisi ke paas apna ek Andoid phone hai jab bhi aap kisi phone ko buy karte hai to pehle aap usme key feature dekhte hai jese ki phone 4g hai ya 3g tabhi aap us phone ko buy karte hai aap 4g or 3g mese hamesa 4g phone hi buy pasand karoge kyoki aaj ki need 4g or 5g hai.


Kya kabhi aapne socha hai aapka phone Volte or LTE supported phone hai ya nahi kya aapko pata hai Lte or volte kya hai to aaj is post me main aapko isi ke bare mai btane ja raha hu aap is post ko pura read kare or volte or lte ko samjhe.

Sabse Pehle hum janege LTE kya hai?

LTE Full Form:-  Long Term Evaluation

LTE (4G) : Mai aapko LTE ke bare mai jyada technical way se nahi btauga aap ise bikul saral bhasa mai aasani se samj jaoge LTE hota kya hai.

  Sabse Pehle aap yeh baat jaan le LTE ko hi hum 4G kehte hai LTE ek esa Path (yani Rasta) hota hai jisme high speed run karti hai mtlv Long Term Evaluation kisi high speed data ko ek jgh se dusri jgh tak phuchne ke liye ek path provide karwata hai or lte ek esa service provider hai jo hame fast internet provide karta hai.

Communication ke mamle mai internet ek esa path hai jaha data ki speed superfast hoti hai. LTE ki wjh se ye speed bhut fast hoti hai. Mobile communication system ke liye Lte ek bhut badi discovery hai Or isi LTE ko hi hum 4th Generation yani 4G bhi kehte hai agar aapka phone LTE enabled hai to aap apne phone se fast internet use kar sakte hai.

VOLTE Kya Hai?

VOLTE Full Form:- Voice Over Long Term Evaluation

To dosto ab hum janege volte ke bare mai volte kya hota hai or kise kehte hai, upar mene aapko fullform mai btaya ki volte ka jo V hai uska matlab VOICE hota hai or voice aap jante hi honge voice means AAWAJ.

jab VOICE + LTE aaps mai add hote hai to Volte ka nirman hota hai LTE ke bare mai mene aapko btaya hai ek 4G jo tez speed ke sath run karta hai.

                  “VOICE + 4G (LTE) = HD VOLTE”

VOLTE Technology mai hamari jo communication system hai wo ekdum super fast tarike se hoga means jab hum kisi ko call karte hai or call ki jo sound quality hogi wo puri HD Quality ki hogi ise HD Volte bhi kehte hai Volte main Tez gati se sunne or bolne ki chhamta bad jati hai.isi liye VOLTE main 4G (LTE) ka use kiya jata hai, LTE ka use karne se hamri calling speed fast or sound ki quality hd rehti hai.

Aasha karta hu ki aapko LTE or VOLTE kya hai samaj aa gya hoga fir bhi aapko lte or volte mai kuch confusion hai to hame comments kar ke puch sakte hai or is post ko apne friends ke sath share karna na bhoole.  


Updated: July 30, 2018 — 9:09 am

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

Helptak.com © 2019 Contact Us Frontier Theme